mushkil waqt mein agar kuchh log hamari madad nahin kar rahe to hamein in ke bare mein sochna tark nahin karna chahiye aur jo log apni aawazon se apni maujudgi ka ehsas dila rahe hain hamein un ka bhi khayal rakhna chahiye bahut ziyaada kasmapursi ke aalam mein hamein sirf nare nahin lagane chahiyen bahut ziyaada bebasi ki haalat mein hamein apni mutthiyan ghar ki diwaron aur darwazon par nahin marni chahiyen apne sathiyon ke shor aur apni chikhon se ghabra kar hamein apni baaton ko dohrana band karna chahiye hamein takrar karni chahiye har us lafz ki jis ki wajh se hamara wajud abhi tak baqi hai hamein takrar karni chahiye har us khayal ki jis ke aate hi bahut se logon ke raungte khade ho jate hain apni mayusi, apni na-umidi ko hamein ek git bana lena chahiye aur apni bhuk aur apni pyas se ek chabuk jise hath mein le kar apne khwabon ki wictoriya daudate hue hamein apne mahl mein dakhil ho jaana chahiye