baam-o-dar

har ek saat
har ek nafas

main ki mar raha hun
bikhar raha hun

kise khabar hai
ki main jo kal tha wo ab nahin hun

kise khabar hai
ki main jo chand lamhe peshtar tha

wo ab nahin hun
kise khabar hai

ki main jo
ab hun wo phir na hunga

ki main jo har likhta mar raha hun
bikhar raha hun

kise khabar hai
ki ye imarat mere badan ki

azim-tar hai
ki jo ba-zahir qadim-tar hai

khula hai har ek raaz mujh par ab is khandar ka
tilism tuta hai baam-o-dar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close