bachche man ke sachche sare jag ki aankh ke tare ye wo nanhe phul hain jo bhagwan ko lagte pyare khud ruthen khud man jaen phir ham-joli ban jaen jhagda jis ke sat karen agle hi pal phir baat karen in ko kisi se bair nahin in ke liye koi ghair nahin in ka bhola-pan milta hai sab ko banh pasare insan jab tak bachcha hai tab tak samjho sachcha hai jun-jun us ki umr badhe man par jhut ka mail chadhe krodh badhe nafrat ghere lalach ki aadat ghere bachpan in papon se hat kar apni umr guzare tan komal man sundar hain bachche badon se behtar hain in mein chhut aur chhat nahin jhuti zat aur pat nahin bhasha ki takrar nahin mazhab ki diwar nahin in ki nazron mein ek hain mandir masjid gurudware