bachchon se KHitab

zindagi nam hai taghayyur ka
gar taghayyur na ho to zist muhaal

zarra zarra hai inqalab-pazir
yahi fitrat ki aarzu ka kamal

rok le rasta mashiyyat ka
kis ki taqat hai aur kis ki majal

ek gahra sa rabt qaem hai
darmiyan-e-rah-e-firaq-o-visal

log aate hain log jate hain
hai yahi apni zindagi ka maal

jab taraqqi ke marhale hon tai
mulk-o-millat ka lazmi hai khayal

tan ki pakizgi bhi achchhi hai
man ki pakizgi hai husn-e-khisal

mehr-o-ulfat ka dars aam karen
bantne sab mein hai ye aab-e-zulal

bakhsh den gar koi kare taqsir
ye hai insaniyat ka auj-e-kamal

rasta ho ghalat to ruk jao
na chalo chaal jo ho tedhi chaal

bhul kar bhi na aisa kaam karen
jis se hasil ho ranj-o-huzn-o-malal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close