wahi pyare madhur alfaz mithi ras-bhari baaten wahi raushan rupahle din wahi mahki hui raaten wahi mera ye kahna tum bahut hi khub-surat ho tumhaare lab pe ye fiqara ki tum hi meri qismat ho wahi mera purana git tum bin ji nahin sakta mein un honton ki pi kar ab koi mai pi nahin sakta ye sab kuchh thik hai par is se ji ghabra bhi jata hai agar mausam na badle aadmi ukta bhi jata hai kabhi yunhi sahi main aur ko apna bana leta tumhaare dil ko thukraata tumhaari bad-dua leta kabhi main bhi ye sunta tum bade hi be-murawwat ho kabhi mein bhi ye kahta tum to sar-ta-pa himaqat ho ab aao ye bhi kar dekhen to jine ka maza aae koi khidki khule is ghar ki aur taza hawa aae