kitni dilkash hoti hain khush-fahmiyan khatm hone se pahle bade rangin hote hain khwab bikharne se pahle bahut hasin hote hain phul murjhane se pahle behad khub-surat hoti hai mohabbat bewafai se pahle har aaghaz pahunchta hai anjam ko milan ka pichha karti hai judai din ke pahlu mein rahti hai raat aur zindagi ka daman thame saya si chalti hai maut zindagi ke utar-chadhao dil par chhod jate hain naqsh agar insan ka bas chalta kya wo khushi ke pal hi nahin chunta