badan ki fasilen

raat phir yun hua
adh khule aasman par parindon ki chikhon mein lipte hue

khwahishon ke badan
tilmilane lage

mere kanon mein mere dahakte hue khun ki
rang ki nur ki sitiyan si bajin

phir iradon ki chhati mein nili ragen munjamid ho gain
phir badan ki fasilon ke sae bane

jumbihson mein wahi sarsarahat hui
phir mere jism ki dudhiya chandni

har taraf chha gai
aur main

jism-o-jaan ki shikan-dar-shikan uljhanon ko samete hue
so gaya

raat phir yun hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close