badla

chikhen sun kar dauda aaya
tin baras ka tha jab main ne

pahli bar ye manzar dekha
gali thappad ghunsa dhakka

kamre mein ek mard-e-wahshi
aurat ke nazdik khada tha

aur use baalon se us ke
khinch raha tha

farsh pe baithi aurat roti jati thi
main ne dekha

aur aurat ki jaanib lapka
mard ne aurat ke baalon ko

hathon se aazad kiya tha
aurat meri jaanib bhagi

khauf se aankhon mein aansu the
dahshat se peshab bhi nikla

is se pahle mard hamari jaanib aata
main bhi us aurat ko bachane

rote rote
us ke aage khada hua yun

jaise ek diwar khadi ho
lekin ye diwar bahut hi chhoti nikli

khinch ke baalon se aurat ko
mard ne kas ke thokar mari

aurat ko diwar ne roka
aur palta ke farsh pe patkha

dard se pagal ho gai aurat
mathe se fawwara uchhla

khun se kapde lal hue
aise mein hathon ko utha kar

us ne top ka aakhiri gola aise dagha
allah tujh ko ghaarat kar de

tuten tere hath aur panw
aur tujhe bas maut aa jae

khwab mein aksar khun ka ek
fawwara chhuta karta hai

us aurat ki chikhen ab bhi
mera pichha karti hain

barson guzre manzar badla
parson main aur meri biwi

ulajh rahe the
aisi koi baat nahin thi

bas itna tha
meri dalilen aur tawilen

ek ek kar ke
mujh ko jhuti lagne lagi thin

yak-dam ek mard-e-wahshi ne
mere andar angdai li

hath abhi bas uthne ko tha
yak-dam ek aurat ki chikhen

aah-o-zari khuni matha
dhyan mein aaya

hath ka main ne mukka tana
aur jitni taqat thi mujh mein

utni hi shiddat se us ko
apne hi nazdik khadi

diwar pe kas ke mar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close