faryaadi-e-jafa-e-ayyam ho raha hun pamal-e-jaur-e-bakht-e-nakaam ho raha hun sargashta-e-khayal-e-anjam ho raha hun basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun bad-nam ho raha hun salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun salma se dil laga kar salma se dil laga kar us hur-wash ke gham mein duniya-o-din ganwa kar hosh-o-hawas kho kar sabr-o-sukun luta kar baithe bithae dil mein gham ki khalish basa kar har chiz ko bhula kar salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun kahti hain sab ye kis ki tadpa gai hai surat salma ki shayad is ke man bha gai hai surat aur us ke gham mein itni murjha gai hai surat murjha gai hai surat kumhla gai hai surat sanwla gai hai surat salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun panghat pe jab ki sari hoti hain jama aa kar gagar ko apni rakh kar, ghunghat utha utha kar ye qissa chhedti hain mujh ko bata bata kar salma se baaten karte dekha hai is ko ja kar hum ne nazar bacha kar salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun raaton ko git gane jab mil kar aati hain sab talab ke kinare dhumen machati hain sab jangal ki chandni mein mangal manati hain sab to mere aur salma ke git gati hain sab aur hansti jati hain sab salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun kheton se lautti hain jab din chhupe makan ko tab raste mein baham wo meri dastan ko dohra ke chhedti hain salma ko meri jaan ko aur wo haya ki mari si leti hai zaban ko ki chhede is bayan ko salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun kahti hai rahm kha kar yun ek mah-e-talat ye shahri naujawan tha kis darja khub-surat aankhon mein bas rahi hai ab bhi wo pahli rangat do din mein aah kya hai kya ho gai hai haalat allah teri qudarat salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun us shama-ru ka jab se parwana ban gaya hun basti ki ladkiyon mein afsana bin gaya hun har mah-wash ke lab ka paimana ban gaya hun diwana ho raha hun diwana ban gaya hun diwana ban gaya hun salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun un ki zaban pe meri jitni kahaniyan hain kya jaanen ye ki dil ki sab mehrbaniyan hain kam-sin hain be-khabar hain uthti jawaniyan hain kya samjhen gham ke hathon kyun sar-giraniyan hain kyun khun-fishaniyan hain salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun har ek ke rahm ka yun izhaar ho raha hai bechaare ko ye kaisa aazar ho raha hai dekhe to koi jaane bimar ho raha hai kis darja zindagi se bezar ho raha hai na-chaar ho raha hai salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun ek puchhti hai aa kar tum be-qarar kyun ho kuchh to hamein batao yun dil-figar kyun ho kya rog hai kaho to tum ashk-bar kyun ho diwane kyun hue ho diwana war kyun ho ba-haal-e-zar kyun ho salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun jaun shikar ko gar ba-hamrahan-e-sahra kheton se ghurti hain yun dukhtaran-e-sahra bijli ki raushni ko jaise miyan-e-sahra tarik shab mein dekhen kuchh aahuwan-e-sahra hairat kushan-e-sahra salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun ek shokh chhedti hai is tarah pas aa kar dekho wo ja rahi hai salma nazar bacha kar sharma ke muskura kar aanchal se munh chhupa kar jao na pichhe pichhe do baaten kar lo ja kar kheton mein chhup chhupa kar salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun goya hamein hasad se kuchh naznin nigahen salma ki bha gai hain kyun dil-nashin nigahen un se zyaada dilkash hain ye hasin nigahen al-qissa ek dil hai sau khashmagin nigahen shauq aafrin nigahen salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun ek shokh taza darad sasural se ghar aa kar sakhiyon se puchhti hai jis dam mujhe bata kar ye kaun hai to zalim kahti hain muskura kar tum is ka haal puchho salma ke dil se ja kar ye git use suna kar salma se dil laga kar basti ki ladkiyon mein badnam ho raha hun