din aaya na malbus badal ke na nikhar ke aur log bhi nikle na shagufta na chamakdar tab main ne socha mere kaghaz ke ghubbare na nachen to behtar hai ek umr ka sadma hai bahut talkh zamin ko na salgirah aaj manaun main to behtar wo bhi nahin khush aur na khush din ka guzar hai ai umr tera sakht akele ka safar hai tab main ne kaha chand agar apne badan ko aurat ka badan de to main kanton ke taraazu dil de ke badal lun dil de ke badal lun main qayamat bhi gahan bhi aur un ke ewaz us se kahun aaj ke din to ruk meri zamin par taqdir hawa ban ke darakhton mein khadi hai aur main ai ajab chiz chatanon pe gira hun