bada aasan hai mere liye main aazadi ke git gaun aur sadkon par jalse saja inqalab ke nare lagaun bada aasan hai mere liye main kisi par zulm hota paun to aankhon wala andha ho jaun bada aasan hai mere liye siyasatdanon par jhallaun aur kuchh karne ke nam par apni majburiyan ginaun bada aasan hai mere liye ki main zinda lash ho jaun khud darun aur pariwar ko daraun par mere bhitar jo hai ek ruh si jab puchhti hai mujh se kahan jaun zinda lash hona bhi aasan nahin main ise kaise samjhaun