hamare makanon se upar se kunjen junubi ilaqe se aati hui chand tara banati hui aaj guzrengi un ke guzarne masafat mein ru-posh hone se hum jaan lenge kadake ki sardi gai hai bahaar aa rahi hai yunhi god man ki ladakpan jawani budhapa bahaar aa rahi hai inhi rukh badalte hue rah jate hue qafilon ko koi meri jaanib se itna kahe aane-jaane ke phaile hue qafile par kahan sard mausam rukega kahan kis taraf se bahaar aaegi sabza kin raston par ugega jawani budhapa ladakpan zamin aur man raft ke baad aamad kahan hai