bahaar

yun mere dil se khelti hai bahaar
jaise taron ki dil-nashin chashmak

jis tarah chand ki hasin kirnen
nim-shab gosha-e-gulistan mein

patti patti pe naz se khelen
yun mere dil se khelti hai bahaar

jis tarah qurb-e-husn ka ehsas
jaise mahbub ki nigah-e-jamil

dil mein aankhon ki rah se utre
aur ho jae ruh mein tahlil

yun mere dil se khelti hai bahaar
jaise ulfat ke be-sada naghme

jis tarah gham ki muzmahil tanen
dard-e-afsurdagi se ukta kar

saz-e-hasti se khud-ba-khud ubhren
yun mere dil se khelti hai bahaar

jaise aanchal kisi hasina ka
haule haule uda rahi ho nasim

jis tarah aks-e-hur se khele
khuld mein mauj-e-kausar-o-tasnim


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close