bahadur shah zafar

ek yahan baadshah tha bachcho
mulk ka khair-khwah tha bachcho

sab ko bhati thi nek khu us ki
khub lagti thi guftugu us ki

wo ki sher-o-adab ka mahir tha
dar-haqiqat azim shair tha

nam us ne abu-zafar paya
aakhiri tajdar kahlaya

us ki azmat pe dil hai farsh-e-rah
us ko kahte the sab bahadur shah

takht-e-dilli pe hukmaran tha wo
mughliya daur ka nishan tha wo

ahal-e-hindostan ka qaid tha
wo muhibb-e-watan mujahid tha

ras us ko na takht-e-shahi tha
wo ki ek ba-wafa sipahi tha

us ke apne hi ek rishta-dar
nang-e-hindostan hue ghaddar

kar ke angrez be-bas-o-majbur
le gae phir use watan se dur

zulm angrez ka saha barson
qaid rangun mein raha barson


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close