bahut khubsurat hamara watan hai anokha hai sab se nirala watan hai sabhi rang ke phul is mein khile hain bahishti manazir bhi is ko mile hain kahin raat-rani ki khushbu basi hai kahin par chameli ki nikhat ghuli hai kahin par dhanak sat-rangi tani hai kahin nur ki koi chadar bichhi hai kisi samt mein koi dariya rawan hai kahin kohsaron ka dilkash saman hai kahin lal pile hare qumqume hain kahin paniyon mein diye jal rahe hain kahin pae jamon mein topi khadi hai kahin panw mein koi dhoti bandhi hai kahin suit sadi ki raunaq lagi hai kahin ghaghre ki ajab dilkashi hai kisi ki hatheli pe mehndi rachi hai kisi panw mein koi lali lagi hai kisi sar pe baalon ke guchchhe bane hain kahin baal pairon pe latke hue hain kahin sat rangon ki pichkariyan hain ki jin se badan-bich gul-kariyan hain kahin gend balle se lag kar hai udti kahin koi dande se gilli uchhalti zamin ko bichhae koi so raha hai kai khwab bhi nind mein bo raha hai koi paniyon mein chhalangen lagata khalaon mein koi hai kartab dikhata koi sanp ko apna sathi banata use bin ki apni dhun par nachata koi apne angon ka aasan lagata koi apne tan ka tamasha dikhata koi apni aankhon se man jitta hai adaon se duniya ka dhan jitta hai jidhar dekhiye ek anokha saman hai udasi mein bhi zindagi shadman hai har ek tarah se ye niyara watan hai bahut khubsurat hamara watan hai