bahut shor hai matahat ladkiyan mere zanu pe sajda karen khauf-aludgi shor-o-shar ki pazirai mein ro pade ye zaminen siyah-nasl ghodon ki aawaz se jagti hain chashm-e-shab-kor har chandni-raat mein ek jalsa karegi zamin fil-e-be-zor ki tarah patti rahi hai unhi saaton mein ba-shart-e-sikandar koi aaine ke barabar milega wo hansti hai aur saya-e-afiyat ke tasawwur ko majruh karti hai use fil-e-be-zor ke samne dal do us ke chehre ko tute hue aaine se musakhkhar karo wo hansti hai aur girya-e-nim-shab ke samundar pe apna alam kholti hai hath jal makdiyon se kurede hue panw mein ghas lipti hui aafiyat hai samundar ki bahti hui ghas mein aafiyat hai samundar ki aawaz mein shor hai shor mein aafiyat matahat ladkiyo mere zanu pe sajda karo ye zaminen siyah-nasl ghodon ki aawaz se jagti hain