samundar bolta hai samundar apni pur-asrar maujon ki zaban mein bolta hai samundar ki sadaen chir deti hain shab-e-tarik ki chadar ubal padti hain tasalsul aur tawatur ke dawair mein thirakti hain suron ke dane ek tasbih ban jate hain lai ke narm hathon mein jo is aawaz ke jadu ke bas mein hote jate hain samundar ka kinara salet hai jis par umadti dubti lahren bikhar kar chhod jati hain samundar chhin ke iqlidsi khake ajab andaz ki tajridi taswiren mohan-jodado se pahle ke rasm-ul-khat ki tahriren pade hain gate-way-of-india ke farsh par be-ghar bhikari udhar hain kuchh juari idhar ek happy ladki apne happy dost ke pahlu mein simti chilam ka dam lagati hai suragh-e-jannat-ul-maut ke talib hain donon ek sadhu se hashishi nashshe ke dariya mein ghote kha rahe hain hashishi nashshe hi ki mauj hai goya samundar ki sada bhi samundar ki siyahi par wo pili raushni ke phul jahazon ne bikhere hain andhere mein nazar aata nahin jin ka koi mastul jahaz aaram karte hain jahazi shahr ke ishrat-kadon mein ghota-zan honge hujum-e-hashr-saman ke samundar mein jahazi chand qatron ki tarah ghul-mil gae honge yahan to narsi-sas bhi kahin bhi khud-girafta rah nahin sakta samundar chhedta hai sahirana simfani jis mein nawajil dewtaon ke azal-asar shankhon ki nawajil dewiyon ke mor-pankhon ki sada aapas mein dhakka marti munh-zor maujon ki sada sahil ki chattanon se takraati hui pur-shor maujon ki sada us shahr ki jo nashshe ke aalam mein jari aur sari hai sada us shahr ki jis ke muqaddar mein hai roz o shab ki bedari sada us shahr ki jis mein darakhton aur parindon se ziyaada aadmi honge sada us shahr ki jis mein ki insanon ke chhatte aasman chhute hue malum hote hain ubal padta hai darwazon se galiyon aur sadkon ke muhanon se ek aadam-zad chyunti-dal jahan har-dam bala-raftar karon aur bason ki ham-nawa ban kar mashinen ahd-e-hazir ka qasida padhti rahti hain samundar ke kinare ka mashini shahr sazina hai jis par aatish o aahan ke naghme raqs karte hain samundar ke kinare mard o zan ka ek samundar aur bhi hai samundar ki sada mein us samundar ki sadaen dub jati hain be-karani ki sada mein