ruh bechain hai chashm-e-pur-ab se barishon ki tawaqqoa bhi be-kar hai lafz-gar saaten shairi ke tarannum se sarshaar to hain magar nazm ke sat sur meri kohna samaat se takra ke wapas kahin ja chuke hain meri zat khamoshiyon ke safar par rawana hai aur main purane gharon ke jharokon se tabir ke silsile jodti phir rahi hun sabhi koshishen mustaqil be-natija naqahat bhari zindagi se murassa shafaat ki talib baghawat ki rasiya mere zaiche mein likhi ja chuki hain alif lam ra ke sukhnawar mujhe koi rasta dikha ta ki main bhi pur-asrar waqton ki kundali nikalun sarakte pighalte hue barr-e-azam ke naqshe padhun nilgun aasmanon mein bikhre hue baadalon ko nigalte hue mushtari ke kisi chand par aaftabi-sifat zaicha likh sakun raat ke baad din to yaqini hai par aankh ka kya bharosa khule na khule waqt ki dor se bandh ke chalta hua ek saya ye jiwan mile na mile aur dharti pe khwabon ka sabza uge na uge ai mere raazdan meri chadar ki jis se hai lipti hui ye khizan mere hathon ki mehndi mein dubi hui ye lakir-e-nihan jis mein agli sadi ki hain ranaiyan kho na jaen kahin mere hisse mein likkhi hui aagahi so na jae kahin aadam-e-awwalin ki tarah mujh ko asma sikha koi rasta dikha