main banjara waqt ke kitne shahron se guzra hun lekin waqt ke is ek shahr se jate jate mud ke dekh raha hun soch raha hun tum se mera ye nata bhi tut raha hai tum ne mujh ko chhoda tha jis shahr mein aa kar waqt ka ab wo shahr bhi mujh se chhut raha hai mujh ko widaa karne aae hain is nagri ke sare basi wo sare din jin ke kandhe par soti hai ab bhi tumhaari zulf ki khushbu sare lamhe jin ke mathe par raushan ab bhi tumhaare lams ka tika nam aankhon se gum-sum mujh ko dekh rahe hain mujh ko in ke dukh ka pata hai in ko mere gham ki khabar hai lekin mujh ko hukm-e-safar hai jaana hoga waqt ke agle shahr mujhe ab jaana hoga waqt ke agle shahr ke sare bashinde sab din sab raaten jo tum se na-waqif honge wo kab meri baat sunenge mujh se kahenge jao apni rah lo rahi hum ko kitne kaam pade hain jo biti so bit gai ab wo baaten kyun dohraate ho kandhe par ye jholi rakkhe kyun phirte ho kya pate ho main be-chaara ek banjara aawara phirte phirte jab thak jaunga tanhai ke tile par ja kar baithunga phir jaise pahchan ke mujh ko ek banjara jaan ke mujh ko waqt ke agle shahr ke sare nanhe-munne bhole lamhe nange panw daude daude bhage bhage aa jaenge mujh ko gher ke baithenge aur mujh se kahenge kyun banjare tum to waqt ke kitne shahron se guzre ho un shahron ki koi kahani hamein sunao un se kahunga nanhe lamho! ek thi rani sun ke kahani sare nanhe lamhe ghamgin ho kar mujh se ye puchhenge tum kyun in ke shahr na aain lekin un ko bahla lunga un se kahunga ye mat puchho aankhen mundo aur ye socho tum hotin to kaisa hota tum ye kahtin tum wo kahtin tum is baat pe hairan hotin tum us baat pe kitni hanstin tum hotin to aisa hota tum hotin to waisa hota dhire dhire mere sare nanhe lamhe so jaenge aur main phir haule se uth kar apni yaadon ki jholi kandhe par rakh kar phir chal dunga waqt ke agle shahr ki jaanib nanhe lamhon ko samjhane bhule lamhon ko bahlane yahi kahani phir dohrane tum hotin to aisa hota tum hotin to waisa hota