january ka mahina jo aa kar gaya phir nae sal ki ibtidai kar gaya february kar raha hai juda sardiyan hum utarenge ab un ki wardiyan march hai sal ka tisra mah-e-nau sab ko karta hai talqin ab khush raho mah april mein imtihan aaenge raat-din padh ke hum pas ho jaenge lo may aa gaya band maktab hue garmiyon se pareshan hum sab hue june barish ki lae khabar dosto hai falak ki taraf har nazar dosto hai july ke aane ke ab silsile khul gae sare school maktab khule sal mein jab bhi mah-e-august aa chala apni aazadiyon ka badha qafila jab bhi mah-e-september janab aaega ketiyon par ghazab ka shabab aaega lae khush-haaliyan dekhna october khet khaliyan ko ho rahi hai nazar kitna pur-kaif mausam nowember mein hai motiyon jaisi shabnam nowember mein hai sal rukhsat hua lo december chala ho shurua ab nae sal ka silsila