aa gai thandi hawa barsat ki chha gai kali ghata barsat ki ab kahan suraj ki garmi ka wo josh chhup gaya baadal ka sunte hi kharosh dal ke dal baadal umand kar aa gae aur sare aasman par chha gae abr ke sae mein hai sari zamin dusre sae ki ab hajat nahin ho gae aise mein sab jaan-dar khush lahlahata sabza khush ashjar khush sun ke barish ki masarrat ka payam jhumte masti mein hain paude tamam sab parinde chahchahate phirte hain hai khushi itni ki gate phirte hain ai lo wo garja wo aain bundiyan did ke qabil hai ye pyara saman khubsurat kis qadar hai ye phuwar motiyon ke haar mein qatron ke tar meinh barasne ki jo aati hai sada is se ho jata hai paida git sa lo wo chhinte zor se aane lage pani par nale bhi barsane lage wo garaj baadal ki wo barish ka zor shahr ki galiyon mein wo bachchon ka shor be-tahasha daudte phirte hain ye uth khade hote hain jab girte hain ye naw kaghaz ki banata hai koi git sawan ke sunata hai koi jab phisal jata hai koi rahgir pitte hain taliyan ban kar sharir wo gali kuchon se pani bah chala ye kahan pahunchega batlao bhala ye thahar sakta nahin hai shahr mein shahr se ja kar girega nahr mein ja giregi nahr dariya mein kahin bastiyon se dur sahra mein kahin sath ye sarmaya sab dariya liye jaega rasta samundar ka liye tai safar karta hua lail-o-nahaar bahr mein mil jaega anjam-e-kar