barsat ki rut aai ghanghor ghata chhai aakash ka man lahka dharti ko hansi aai barsat ki rut aai ghanghor ghata chhai purwai ki san-san mein shadab chaman jhume shakhon ki kamar lachki phulon ke badan jhume rangin nazaron mein madhosh phuwaron mein jharnon ki madhur lai par jangal ki faza gai barsat ki rut aai ghanghor ghata chhai mausam ki jawani phir jadu sa jagati hai aawaz papihe ki phir hosh udati hai phir gunj uthe naghme phir jag uthe arman sine mein umangen phir lene lagin angdai barsat ki rut aai ghanghor ghata chhai maidan mein basti mein kohsar mein pani hai bazar mein pani hai gulzar mein pani hai umdi hui nadiyan hain chadhte hue nale hain har bund majira hai har mauj hai shahnai barsat ki rut aai ghanghor ghata chhai