apne apne hi khol mein hum tum kaise khud ko chhupa ke baith gae hum ko apni ana ka pas raha aur sare khayal bhul gae khwab jo hum ne sath dekhe the sare wo kaise tar tar hue sare wade wafa ke tut gae aur arman sab hi khak hue dekhne mein to main shagufta hun tum bhi shadab sab ko lagte ho ek haqiqat magar main jaanti hun ye ba-zahir nazar jo aata hai aaina wo hamare dil ka nahin hum to ek dusre ki furqat mein zinda rahna muhaal kahte the aks wo bhi hamari zat ka tha aks ye bhi hamari zat ka hai hai udasi to chaaron-samt magar zeb-tan kar ke khol khushiyon ka hum ko apna bharam bhi rakhna hai chahe gham ke pahad jitne giren bas ana ko bahaal rakhna hai