aankhen jab chamkate ho jaan ko bas aa jate ho kaliyon ko bhi murjhate ho kitne gande ban jate ho bas bhai suraj bas kutta kaisa kanp raha hai zaban nikale hanp raha hai kone mein khud ko dhanp raha hai us ko kitna satate ho bas bhai suraj bas sar ko jhukae chidiyan sari dhup ki mari dar ki mari chupki baithin sab be-chaari chidiyon ko dhamkate ho bas bhai suraj bas baadal chhae meindak bole aam ki dali rim-jhim dole duniya sari aankhen khole ab ghar kyun nahin jate ho bas bhai suraj