hiran ka ek chhota bachcha dariya ke kinare aa nikla wahan pe ek batakh bhi thi machhli se wo ye kahti thi main to dariya mein nahati hun jab chahun main ud jati hun thak jaun main to baith rahun jab chahun main sabze pe chalun tum to dariya ki machhli ho pani mein rahti basti ho tum meri tarah se chal na sako tum meri tarah hil-jul na sako tum meri tarah se aa na sako tum meri tarah se ja na sako ye baat suni ek sanp ne ghusse se laga wo kanpne wo bola kyun majbur hai tu kam-himmat hai majbur hai tu yun machhli ko shaikhi na dikha kuchh himmat hai to samne aa ab bol ki kya tu udti hai aa chil ke samne ud ke dikha ab bol ki kya tu daudti hai aa khargosh se race laga ab bol ki kya tu tairti hai aa tu machhli se pair mila ab tu samjhi ab tu jaani ye baaten hain aani-jaani hai asal to ye kuchh kar ke dikha duniya ye kahe kya khub kiya jo gur sikho pura sikho jo kaam karo achchha hi karo