tum jo aao to dhundalke mein lapat kar aao phir wahi kaif sar-e-sham liye jab larazte hain sadaon ke simatte sae aur aanhken khalish-e-hasrat-e-nakaam liye har guzarte hue lamhe ko taka karti hain khud-farebi se ham-aghosh raha karti hain tum jo aao to andhere mein lapat kar aao shabnami shishon ko sahlaen lachakti shakhen aur mahtab-e-zamistan koi paigham liye yun chala aae ki dar baz na ho koi aawaz na ho tum jo aao to ujale mein lapat kar aao phir wahi lazzat-e-anjam liye jab tamannaen kisi khauf se chikh uthti hain aur khamoshi-e-lab saikdon ibham liye ek sangin haqiqat mein badal jati hai zindagi dard mein dhal jati hai