visal ki rah se guzar kar firaq ka mod aa gaya hai aur ab yahan se udas shamon sapat raaton ka silsila hai magar abhi tak ye ek dil hai to pichhe mud mud ke dekhta hai safar to aage ko badh raha hai magar ye duniya to daera hai murajat ain waqia hai hamin ye dekhenge subh-e-farda ki taza suraj nikal raha hai firaq ki rah se guzar kar visal ka mod aa gaya hai