yahi waqt tha han yahi waqt tha balki tarikh bhi to yahi thi jab ek mehrban hath ne jaane kya soch kar bas achanak meri ruh ko thapthapaya mere dil ko thama ajab ek waraftagi se aur kuchh pur-fusun aagahi se mere sin-rasida dil-o-jaan ko us ne hayat-afrin lams se bhar diya apni nazron mein khud mo'atabar kar diya sochta hun anokhi thin wo saaten kis qadar kya ajab meri aql-o-khirad par asar tha zamanon jahanon se main be-khabar tha sitare zamin aasman kahkashan sab mere panw ki dhul the hawa bhi ki jis samt chalti mere hukm se aur khushbu ki pahlu badalti mere hukm se main ki masruf tha roz-o-shab baadalon ke safar mein main dil tha nazar tha hawa tha khuda tha kisi ki nazar mein ki be-misl yakta yagana tha main apne har ek hunar mein meri tabnaki mera nur-e-kaamil tha shams-o-qamar mein magar ek din phir achanak ajab saneha ho gaya aur jaise mera bakht hi so gaya ikhtiyar-o-tafakhur ka wo silsila kho gaya ab to bas main hun aur matam-e-arzu zindagi kuchh nahin ma-siwa ha-o-hu dam-ba-dam dam-ba-dam haarti justuju ek aawaz aise mein aati hui dil ki himmat dobara bandhati hui kah rahi hai musalsal ki ye khwab hai khauf hai wahm hai sehr hai is ko hargiz haqiqat na jaan aur main zindagi maut ke darmiyan ta-ba-hadd-e-karan be-aman be-aman be-aman