ab mein kis se kahun ki kahne ke liye kuchh bhi nahin na harf-o-lafz na aawaz na samaat koi rishta nata hai nahin ek ek kar ke rishte nate mitti se bichhad ke aur pani mein dubte chale jate hain wahan jaane ka waqt aa gaya hai sath le jaane wala parinda sar par mandla raha hai isi liye darakhton ki putliyan bilkul khamosh hain malum hua ki koi kisi ka tha hi nahin ya dil to shayad mahz nirasha ka dher tha is dher par pani ki ek bund bhi girne ko tayar nahin thi safar karne wala barahna panw to dhul mein pada rah gaya main ne shayad use is liye nahin uthaya ki use kisi aur jism mein lagaya nahin ja sakta tha