khyalat-o-ehsas jo be-sakhta likh diye hain na jaane wo kab se dil-o-jaan ke andar chhupe the kisi raaz jaise qalam-band hone ko bechain the kai dard uljhe sawalat jo safhe pe sajne ko betab the wo sab qalam se mere motiyon ki tarah ab barasne lage hain sabhi raqs karne lage hain meri chashm-e-pur-nam jo sailab roke hue hai sitare chamakte hain meri palak par unhen main raqam kar rahi hun jo tufan hai maujzan mere andar wo arman wo khwab kai la-shuuri mazamin ban kar waraq-dar-waraq jagmagane lage hain sabhi raqs karne lage hain aur ab usi jazb-o-ehsas ke zer-e-saya ghazal phul ban kar mahakti hai kabhi nazm gati hai wo git ki jo be-khayali mein takhliq ho kar banati hai rangin paikar ye bazm-e-sukhan ko sajaane pe mail khayalat sab raqs karne lage hain qalam se mere motiyon ki tarah ab barasne lage hain sabhi raqs karne lage hain