be-mani

sadak par rail tezi se chali hai
hawa dekho to pani se jali hai

kaha murghe ne ye gidad se ro kar
meri murghi abhi uthi hai so kar

nadi mein tairta khargosh dekha
to machhli ne paron ko khub senka

kabutar se hui kachhwe ki shadi
to bhaalu ne tamatar ko dua di

machaya shor kuchh sanpon ne aisa
chalaya bakron ne jo khota paisa

jalebi tairti pani pe aati
maze le le ke wo bhindi ne khai

gadhe cycle chalae ja rahe the
maze se dudh khana kha rahe the

sar-e-rah pit gai chyunti bichaari
gilahri ban gai ab to shikari

thapak kar main ne mithe ko jagaya
andhere mein namak ne gungunaya

falak par ud raha tha ek hathi
miyan ghode chale hain ban ke sathi

azan bakri ne di naddi pe ja kar
miyan machchhar nikal aae naha kar

mili chuhe ke bil se ek billi
shri ga ga bane hain shaikh chilli

maze se ghas bandar kha raha hai
chaba kar pan kawwa aa raha hai

gira pani ke nal se ek anda
to kharbuza utha phir le ke danda

sada ye ghaib se ek bar aai
zamin-o-asman mein hai ladai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close