garmi bahut hai lekin tum apne kamre ki khidkiyan aur darwaze band kar lo aur lihaf odh kar so jao tumhaari tang-o-tarik gali mein ab koi nahin aaega tumhaare tarik aur pur-ufunat kamre mein koi nahin aaega tumhaari khairiyat puchhne ke liye sab masruf hain aur tum bekari ke bukhar se pareshan ho