be-yaqini ka phailta dhuan

main daftar ki kursi pe baitha hua
galiyan bak raha hun

mausam ki hiddat ko
hiddat mein shiddat ko

hiddat ki shiddat mein pakte hue aam ko
jo ki mera nahin hai

table pe rakkhe hue kaam ko
jo abhi tak pada hai

hawa ko
hawa mein munafiq suron ki aamezish ko

kar-e-mohabbat ko
kar-e-mohabbat mein tapte hue husn ko bhi

jise dekh kar qais ki aankh
jufti ke sapnon mein dubi

table pe aundha pada hai jo cigarette ka packet
main kahta hun yunhi pada hai

main pita nahin hun
kisi din piyunga jiyunga

magar wo meri baat par muskuraati hai
aur us ki aankhon mein ek be-yaqini hai

mujhe qatl karti hui be-yaqini
main daftar ki kursi pe baitha hua

be-yaqini se us be-yaqini ko
galiyan bak raha hun

mujhe ek cigarette hi sulga do koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close