bebasi

ek be-kaif sham ke bas mein
rengte sae unghti rahen

chand sahme hue chahchahe aur main
zindagi rang-o-bu se begana

sar-nigun dil-girafta aur udas
aah is ke qahqahe aur main

chahta hun guzar sakun ek bar
aarzuon ke chistanon se

hon jahan lakhon chahchahe aur main
har-nafas mein ho naghma-e-nahid

khak-e-pa ho meri bahaar-ba-dosh
ye saman jawedan rahe aur main

dil-e-nakaam ki tan-asani
khanda-zan hai mere iradon par

warna dariya-e-gham bahe aur main
jaane yunhi rahenge ab kab tak

rengte sae unghti rahen
chand sahme hue chahchahe aur main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close