ye sannata ye tariki ka aalam koi hamraaz na koi hai hamdam kahan hai rang ki bu ki wo duniya kahan hain gul kahan naghmon ki sargam ilahi kya yahi hai tera barzakh nahin nafs o jism jis ja pe baham sabr kar tu zara be-tabi-e-dil abhi tak hai tabiat ka ye aalam abhi tair nafas ka qaid mein hai abhi to hain hayula ke pas-e-wahm tere sanson ki ginti bhi hai baqi nahin aaya abhi rehlat ka mausam basirat aur tasawwur auj par hai digar ehsas hain khamosh-o-barham nahin taswir-e-hasti samne to kya takhayyul hai tera sabit musallam bana phir se jahan-e-rang-o-bu ko chaman aankhon se ojhal hai to kya gham tera nazzara lekin raegan hai tu dekhe aur na dekhe koi hamdam agar imkan ho to naqsh kar tu tere jazbaat ki halchal talatum tere afkar ko alfaz mein dhaal bana un se ek taswir-e-mujassam teri takhliq aisi ba-asar ho nazar aae gulon ka rang kaliyon ka tabassum ata saughat ho zor-e-qalam ki dua teri 'anis' aisi ho har dam