dekho dekho bhaalu aaya apne sath madari laya chhote chhote bachche aae aata paisa sath wo lae sab ko khel tamasha pyara jiwan ka ye ek sahaara bol utha lo damru wala pichhe pichhe hu lu la la dekho kisi ko kat na khaen hum mazdur na mare jaen kalu lalu ka ye joda tau-ji kuchh hat ke thoda bol raha hai bhaalu wala dekh rahe hain khalu khala charkha bhi wo achchha kate hanste hanste bal pad jate bhuka pet dikhata hai wo sab ko khub hansata hai wo pher ke hum ko hath batata so kar us ja wo mar jata phir uthta hai kahta hai wo sare dukh-sukh sahta hai wo sab kuchh hai ye pet ka dhanda warna in ka haal hai manda