bhaarat ke bachcho

bhaarat-man ki aankh ke taro
nanhe-munne raj-dularo

jaise main ne tum ko sanwara
waise hi tum desh sanwaro

bhaarat man ki aankh ke taro
ye jo hai ek chhota sa basta

ilm ke phulon ka guldasta
kirshn hai is mein ram hai is mein

budh mat aur islam hai is mein
ye basta isa ki kahani

ye basta nanak ki bani
is mein chhupi hai har sachchai

apna sukh auron ki bhalai
is baste ko sis nawao

is baste par tan-man waro
bhaarat man ki aankh ke taro

chhod ke jhuti zaten-paten
sab se sikho achchhi baaten

apna kisi se bair na samjho
jag mein kisi ko ghair na samjho

aap padho auron ko padhao
ghar ghar gyan ki jot jagao

nawjiwan ki aas tumhin ho
banta hua itihas tumhin ho

jitna gahra andhiyara ho
utne unche dip ubhaaro

ye sansar jo hum ne sajaya
ye sansar jo tum ne paya

is sansar mein jhut bahut hai
zulm bahut hai lut bahut hai

zulm ke aage sar na jhukana
har ek jhut se takra jaana

is sansar ka rang badalna
unch aur nich ka dhang badalna

sara jag hai desh tumhaara
sare jag ka rup nikhaaro

bhaarat-man ki aankh ke taro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close