chhutti ki ghanti bajte hi chappal meri nekar ki jebon mein hoti thi basta kandhe par phenke takhti lahraata bhag nikalta tha phir ye ghode-shode mere aage bachche hote the par mere bachche ilm ki dugdugi jahil ke hath aa jae to baste bhaarti ho jate hain itne bhaari ho jate hain chhutti ki ghanti se ghutne baj uthte hain phir sar badh jate hain qad chhote rah jate hain aur insan ka bachcha ghodon se darne lagta hai