na wo ketki ki phaban rahi na wo motiya ki ada rahi na wo nastaran na saman rahi na wo gul rahe na faza rahi na gulon ke ab hain wo qahqahe na wo bulbulon ke hain chahchahe na ghazal-sara wo koi rahe na wo qumriyon ki sada rahi na wo sarw hai na wo aab-e-ju na wo ham-safir hain khush-gulu na banafsha hai na wo naz-e-bu na wo jafri na jafa rahi na wo subh ki hain tajalliyan na shafaq ki aah wo jhalkiyan na wo udi udi hain badliyan na wo bhini bhini hawa rahi na umangen hain wo shabab ki na wo pattiyan hain gulab ki na hawa mein bu hai sharab ki mujhe mast thi jo bina rahi wo kanwal ghazab ke the dil-ruba jahan udte the mere ham-nawa magar ab na un ki hai wo ada na wo bu rahi na safa rahi lab-e-abju thi faza ghazab wo bahaar ki thi hawa ajab mere kunj mein mujhe roz-o-shab mai-e-be-khudi thi pila rahi wo ghazab ki ku-ku wo zamzama wo surili dard-bhari sada sar-e-sham sarw pe fakhta mujhe loriyan thi suna rahi hain kanwal ki khushk jo pattiyan meri khwab-gah thi kabhi yahan yahin shab ko de de ke thapkiyan thi nasim mujh ko sula rahi na gulon mein bu-e-wafa rahi na wo dil-ruba hi ada rahi na chaman raha na faza rahi na wo din rahe na hawa rahi na rawish hai ab wo siphar ki na gulon mein bu hai wo mahr ki ki hawa hai gulshan-e-dahr ki mujhe sabz-bagh dikha rahi