bhul jao mujhe

wo to yun tha ki hum
apni apni zarurat ki khatir

apne apne taqazon ko pura kiya
apne apne iradon ki takmil mein

tira-o-tar khwahish ki sanglakh rahon pe chalte rahe
phir bhi rahon mein kitne shagufe khile

wo to yun tha ki badhte gae silsile
warna yun hai ki hum

ajnabi kal bhi the
ajnabi ab bhi hain

ab bhi yun hai ki tum
har qasam tod do

sab ziden chhod do
aur agar yun na tha to yunhi soch lo

tum ne iqrar hi kab kiya tha ki main
tum se mansub hun

main ne israr hi kab kiya tha ki tum
yaad aao mujhe

bhul jao mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close