bimar guDiya

ki shayad khizan chhu gai use
aaj khamosh hai

chal ke dekhen kahin
aaj phir zer-e-dil

ek masum khwahish ki shiddat
phir kisi adh-jale khwab ki justuju to nahin

titliyan sabz-o-nili
sar-phire raqs-o-bu ke jahan se

kitni manus-o-sarshaar hain
aur main apne achchhe khuda se

kitni bezar hun
thak gai hun

chand taron ko chhune ki khwahish
chotiyon tak pahunchne ki khwahish

ek be-naghma be-saz wusat
dil dhadakne se bhi hichkichae

surat-e-dud sa ye gurezan
nili tarikiyon se shagufta

qahqahe marti main jo nikli
mere khwabon ke bedar chehre

sare sahil pe nauha-khwan hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close