biwi ki amman

teri man agar na hoti to mujhe qarar hota
na wo aati mere ghar mein na main zer-e-bar hota

zara dekh us ke nakhre nahin khati dal roti
main khilata us ko sadqa jo yahan mazar hota

tu use khilae murghi aur khilae roast machhli
main use zahr khilata agar ikhtiyar hota

mere ghar mein aa ke rahne ki saza main us ko deta
kabhi doctor na lata jo use bukhar hota

teri man ne mujh ko kosa tere bap ne bhi danta
na main tere ghar mein aata na zalil-o-khwar hota

mujhe sirf dal de di jo baghaari bhi nahin thi
main to wo bhi kha hi leta jo wahan achaar hota

bane hum jo tere dulha pada jhonkna ye chulha
na nikah tujh se karte na ye haal-e-zar hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close