talluq tark karna hai talluq tark kar lena magar waise nahin jaise zamana tark karta hai dilon mein farq karta hai wafa ko gharq karta hain talluq tark karna hai talluq tark kar lena magar ek mashwara sun lo ise tum iltija samjho tumhein bas itna karna hai ki is anjam se pahle mera aaghaz dohra do mujhe phir mujh se milwa do tumhein bas itna karna hai mohabbat ke mahine ki wahi tarikh chunni hai wahi ek waqt rakhna hai wahi kapde pahanne hain wahi khushbu lagani hai jo pahle din lagai thi mohabbat ki wo pahli muskurahat sath lani hai usi cafe mein aana hai usi table ko chunna hai wahi coffee mangani hai ki jo us din mangai thi chamak aankhon mein wo hi ho khanak baaton mein wo hi ho hatheli par usi andaz mein mehndi racha lena ki jo us din rachai thi suno jaanan mohabbat ka mera pahla lifafa wo gulabi khat use tum sath le aana tumhaara khat ki jis ke rang ab tak hu-ba-hu wo hain use main sath launga lifafe hum badal lenge talluq tark kar lenge usi din ki tarah cafe se jate waqt mud kar dekh pao to ye tum par chhodta hun main talluq todta hun main jahan se ibtida ki thi wahin par intiha karna talluq tark karna hai talluq tark kar lena magar waise nahin jaise zamana tark karta hai