ek fusun-kar but-tarash hun main zindagi ki tawil raaton ko bar haale ke tesha-e-afkar but tarashe hain sainkadon main ne tere sanche mein dhaalne ke liye chand se nor-e-marmarin le kar tera simin badan tarash liya mehr se tab-e-atishin le kar tere rangin labon ka rup diya le ke tauba ki ambarin sae teri zulfon ke baal mahkae ghum kar khuld ki fazaon mein sarmadi sarkhushi utha laya rang bhar kar teri adaon mein abadi rahaton ko sharmaya le ke sima-e-hur ki taqdis chhin kar main ne qudsiyon ka waqar zindagi di teri nigahon ko aur banain teri hasin aankhen nazar-e-bad kahin na lag jae main ne taron se chhin len aankhen phir bhi main tujh se dur dur raha phir bhi tujh se na mil sakin aankhen yun to ek kohna but-tarash hun mein zindagi ki tawil raaton ko bar haale ke tesha-e-afkar but-tarashe hain sainkadon main ne but-tarashe hain tod dale hain