cactus ke nukile kante kisi painting ka mauzua to ban sakte hain lekin sarma ki dhup mein nikhra hua chaman hari ghas aur surkh-o-sabz rangon mein duba cactus se apna daman chhudana chahta hai unhen bas gamlon hi mein rahne do ya phir canwas par un ke nukile kante jod do