do hi cup mangata hun aaj bhi main coffee ke dekh kar ye cafe mein log rone lagte hain koi ek wo table book kabhi nahin karta jis pe main ne chabi se ek dil banaya tha aur do nam likkhe the ho gaya purana par aaj tak nahin badla mez ka wo ek gul-dan pahle wasl par jis mein tum ne phul rakhe the mujh se koi waiter ab tip bhi to nahin leta wo dukan malik jo chutkule sunata tha khilkhila ke hansta tha dur ab khamoshi se mujh ko takta rahta hai is salib par mera jism latka rahta hai main tumhaare cup ko wo mujh ko takta rahta hai waqt katta rahta hai