tutti reza reza simatti hui saaton ki koi sath-e-sada nahin ek waqfa ka daman bhi dhabbon se khali nahin ye nazar ka nahin asl mein ek tazad-e-nazar ka karishma hai warna ye auraq-e-mahtab bhi jitne lagte hain ujle nahin munh khuli aur ladki hui raat se lamha lamha bhabakti hui raushnai bahut tez hai raat ke koele jab shuruat taqrib ke dhime dhime sulagte alaw mein jalne lagen us ghadi aur jab beach ke marhale mein dahakne lagen us ghadi aur jab khatm taqrib ki rakh mein aankh milne lagen is ghadi bhi safedi ka khalis tasawwur nahin apni marzi ki be-dagh taswir ke waste canwas koi sada nahin