kaun hai wo kuchh nahin jaante dekh sakte nahin duniya ki diwaron mein chune hue patthar kaun mere khwabon mein aasmanon se utarta hai jadu-zada logon ko diwaron se nikal kar zinda dilon ki bastiyan aabaad karna chahta hai magar ye log kaise hain ba-zid hain dilon tak jate raste band rakhne par aankhon zabanon aur dimaghon ko diwaron mein qaid rakhne par musir hain mein hairan hun ki diwaren bhi chalti hain kuchalti jati hain raunat se sabhi masum jazbon ko kitabon se umadti raushni ko dilon mein nafraten bhar kar utha kar sar ye chalte hain raunat se saja kar apne mathe par nishan sajdon ke sab se fakhriya kahte hain hum hi muttaqi hain aur zahid hain magar un ki qanaat girya-zari zohd-o-taqwa dikhawa hai banawat aur sajawat hai ye jis ke nam par dhoke bantte phirte hain masjidon aur bazaron mein use sajdon se kya matlab use to dil basane hain aur is jadu-zada basti ko jannat mein badalna hai