chand aur tare salamat kahkashan qaem rahe ye zamin qaem rahe ye aasman qaem rahe ya ilahi desh mein amn-o-aman qaem rahe raqs-e-hasti ke liye bazm-e-jahan qaem rahe hashr tak qaem rahe mera chaman mera watan aur is ki ye bahaar-e-jawedan qaem rahe ya ilahi hashr tak mahken mere gulshan ke phul bulbulon ka shakh-e-gul par aashiyan qaem rahe chand suraj aasman par jab talak raushan rahen gulshan-e-hindostan jannat-nishan qaem rahe krishn ki bansi baje radha rahe madhuban rahe pyar ke naghmon mein dubi wadi-e-gulshan rahe