main abhi chhota tha kisi ne mere hath mein chaqu thama diya main ne apni umr ki lakir ko chhe jagah se kat dala aur mohabbat ki lakir chaqu ki nok se khurach di chaqu ka dasta mujhe kuchh be-hangam sa mahsus hua use main ne hathaude ki zarb se chaqu se alahida kar diya zara si dhaar lagane ke baad ab use donon taraf se istimal kiya ja sakta tha mujhe yaad nahin main ne use kitni jagah istimal kiya hoga albatta us se meri hatheliyon par kai be si lakiren pad gain aur ek hath ki tamam ungliyan talaf ho gain hatheli ki be-zarurat lakiron ne meri baad ki zindagi mein kai mushkilat paida kin sab se badi mushkil to khud ye chaqu tha jo apni do tarfa dhaar se mujhe zakhmi kar raha tha ek mushkil aur hai aisa hi ek chaqu ek din aaine mein mere aks ko do masawi tukdon mein taqsim kar gaya aur main thik se ye bhi na dekh saka ki us ka dasta kis ke hath mein tha